baithak

↑ Grab this Headline Animator

Thursday, May 30, 2019

bay-naam, ba-pata

guzashta roz
mera naam thaa
           pata thaa
phir utha liya gaya mujhay
          aaj
maiN ik number hooN
         chispaaN jo hay
anghootay per m`ray

Wednesday, May 29, 2019

tag on my toe

yesterday 
    i had a name
    i had an address
today
    i have disappeared
    i did not abandon the family
they took me away
and fixed a tag on my toe

Tuesday, May 28, 2019

reckoning

reckoning the day is never done it is there 24/7 unblinking eyeball to eyeball till we surrender

Monday, May 27, 2019

cyber clash alert

cyber clash alert just twenty seconds earlier i posted this. paglay baat maiN wazan hota tou humari-tumhari suni jaati wazan baat maiN nahiN wardi aur daulat maiN hota hay maan lo
se'h lo
chup ho jao
یہ بلڈی سویلین کیا کہ رہا ہے. ہم تو سمجھتے تھے کہ صرف کاکول کا پڑھا ہوا ہی سمجھ رکھتا ہےِ twitter.com/GulSaanga1/sta…
twitter.com/AliNasirSyed/status/1133613600399142913

paglay

paglay baat maiN wazan hota tou humari-tumhari suni jaati wazan baat maiN nahiN wardi aur daulat maiN hota hay maan lo
se'h lo
chup ho jao

Sunday, May 26, 2019

recycling souls

we recycle dust to dust the body devolves or evolves the soul that single soul infuses in other bodies the rotation timeless stories untold


Replying to @Joieya74
most carry their stories n wear their scares quite gracefully no regrets then👍

Saturday, May 25, 2019

thoughts stray or pondered

thoughts stray or pondered caught fermented distilled re-ordered edited and released @rain_bowcatcher @brainpicker
My Heart — an emotional intelligence primer in the form of an uncommonly tender illustrated poem about our capacity for love brainpickings.org/2019/05/23/my-…

Friday, May 24, 2019

pole dancing

pole dancing populism is in empathy is out we're stuck in t-whining*

*t- tweet

Thursday, May 23, 2019

saabit

syed likh ga'aye baray asbaab e baghawat e hind sahafi yahaaN meh'v e intizaar haiN kub koi khakhi bila-suboot qal'm per oonkay sabt ker-daiga moh'r e shanasaee aur saabit ho-jaiga tamghae wafadari #tpoem more musings ar baithak.blogspot
Know how three letters form a root to the making of new words. #LearnUrdu #RekhtaUrdu #aamozish @Rekhta

Wednesday, May 22, 2019

azli ghulami

azli ghulami saabir haiN hum jo jaabir kay
sitam ko seh ker baar baar
seh ker bhee bardasht kertay haiN

Tuesday, May 21, 2019

rishtouN ka bojh

in rishtouN ka bojh ab uthaye nahiN uthta nadaanistagi maiN janay kya kya daal dya in natawaaN kandhoN per kuch apnoN nay kuch ghairoN nay
in rishtouN ka bojh ab uthaye nahiN uthta

Monday, May 20, 2019

bharosa unqaa

bharosa unqaa koi yeh bata'aye kis kis ka rona roaiN hum aur aap sujhaee kuch bhee nahiN daita ab muflisi qehat hay her soo aur woh kehtay haiN sub theek hay theek ho jaiga bharosa rakho

Sunday, May 19, 2019

losing a loved one

the throbbing of torrential tears fearlessly flowing freely resonating reflections and recollections of one who was here this morning callously, carelessly confirmed (dead) by a cretin with no conscience

Saturday, May 18, 2019

likhnay say hay ghar'z mujhko

likhnay say hay ghar'z mujhko azad pen ya dollar pen ho qalam ya dawat ho jari rahay gi mashq e sukhan takhti say shr'u hui thee jo
likhnay say hay ghar'z mujhko

Friday, May 17, 2019

irony's slow death

irony's slow death a known liar agitating against #fakenews

Thursday, May 16, 2019

ger hum hotay

ger hum hotay chaand per basay tou wahaaN ki chaudhween shub ko kya kertay

Wednesday, May 15, 2019

aqwaal e zarreen

kehtay haiN woh samjhota karlo khair i'si maiN hay mana dakaiti buri hay laikin jaan bachcana hay tou paisay day do phir kisi din oosool ko fauqiyat daina

nahiN yeh waq't nahiN samjhotay ka yeh waq't hay muqablay ka

Tuesday, May 14, 2019

cauldron of wise words

cauldron of wise words resistance is futile dictates prudence give in to the imbeciles hand over the wallet live another day to fight back but the glory is in not giving in the glory is not in giving up

Monday, May 13, 2019

dharti maaN

dharti maaN rehtay haiN shub o roz ehsaan-mand kal dono ko salaam mother earth am thankful for bounties tomorrow i'll salute both of you

Sunday, May 12, 2019

faraib e musalsil

faraib e musalsil na aana rangON kay faraib maiN redblueyellow rang badaltay haiN kabhi dil-kash kabhi dil faraib ak's ko youN munjamind kertay haiN (from the subconscious to the canvas) khwaab zeh'n say canvas per aatay haiN

Saturday, May 11, 2019

u-turn

u-turn jub principle ka qehat ho aur pricipals ki buhtat ho

Friday, May 10, 2019

waq't ka rona

waq't ka rona baar baar kyuN rotay ho pyaray aaiana dekho aur bahao aansoo pyaray

Thursday, May 09, 2019

hum

hum khamashi achchi hay magar yeh majboori chup nahiN reh sakthay

Wednesday, May 08, 2019

ramzaan...ramadaan

ramzaan...ramadaan is overrated fasting, praying meaningless both when unchanged our acts remain

Tuesday, May 07, 2019

rab hay woh aalamouN ka, humaiN kya

rab hay woh aalamouN ka, humaiN kya janay kis aalam maiN ho, humaiN kya kehtay haiN woh pagal hay, humaiN kya nafrat ghussa tapkay hay, humaiN kya kertay ho bay-wajah zul'm, humaiN kya jahaan sara hansay ga, humaiN kya janay kis....

Monday, May 06, 2019

khudara, khuda ki baat mut karo

khudara, khuda ki baat mut karo bandoN ko youN paraishaN mut karo rab hay woh aalamouN ka, humaiN kya janay kis aalam maiN ho, humaiN kya

Sunday, May 05, 2019

peer e tasma-paa

peer e tasma-paa kehna mut kisi say dosto malika e bartania bhaijti nahiN apna VICEroy di'hayyouN se headquarter hee kerta hay mussallat hum per maanind e peer tasma-paa

Saturday, May 04, 2019

if i could have said it

if i could have said it then i would have but i refrained not for lack of resolve or scarcity of words why? that is for my mother to explain, sadly she is not here

Friday, May 03, 2019

look for houris there

look for houris there if you love to die look for houris there leave others alone it is your misdeeds that turns most people away from god

Thursday, May 02, 2019

kami hay

suraj wohi, log wohi jo kal thay aaj haiN wohi dastoor m'gar badla hay kami hay murawwat ki


puraane #saal kii ThiThurii huii parchhaaiyaan simtiin naye din kaa nayaa suuraj ufuq par uthtaa aataa hai #ASJafri #shair @temporal3 @umair4v

Wednesday, May 01, 2019

no houris there

no houris there mernay ka itna hee shauq hay tou latak jao pankhay se mut maro masoom mazloom ko in harkatouN say tumhari hojatay haiN log munharif deen se, dunya se, khuda se