baithak

↑ Grab this Headline Animator

Thursday, October 06, 2005

Fused Bulb

Javed Abdul Ghaffar ki dunya
aaj say pehlay safaid o syah na thee
laikin aaj oos ko laga aisa
kay cha'a ga'ee hay tareeki her soo'
pitched darkness in which he could
hear and feel but see nothing
as his feet brushed against obstacles
he thought, so this is how blind survive
apni hasti kay sehra maiN youN qaid
dhoondta raha woh rah e fa'raar
an exit door, a reassuring gesture
koi to milay jo yaqeen dila'aye
kay jaan abhi ooskay bus maiN hay
haathoN say nikli nahiN hay
aur woh country cottage maiN hay
maut ki dai'mi jail maiN nahiN!
yeh dost, shana'saa, rishtaydaar
kumbakh't kahaaN ho ga'aye ghayab
kabhi apnay aap ko paa'na chahata tha
kabhi yeh soch ker haNsnay lagta
haath ko aata nahiN nazar haath
gar koi shanaa'saa mil bhee gaya
to woh bhee na-beena hee niklay ga!

0 Comments:

Post a Comment

<< Home