talaash
aik khuda ki talaash sa'aye ki maanind
saaNs ki saathi hay
aur khuda ka shukar hay her moR per
woh milta raha
ustaad, rehbar, saathi, mehboob aur dOst
is sheh'r maiN kabhi
oos musjid maiN, mandir, kaleesa maiN
phir jub samajh aa'ee
niklay woh sub khuda hum jaisay insaaN
hay jaari ab bhi
ik khudaOn kay khuda ki talaash
dekh li hay oos ki
humnay ik dilfaraib muskurahat
jub mil gaee woh
tO unqareeb woh bhi mil ja'e ga
saaNs ki saathi hay
aur khuda ka shukar hay her moR per
woh milta raha
ustaad, rehbar, saathi, mehboob aur dOst
is sheh'r maiN kabhi
oos musjid maiN, mandir, kaleesa maiN
phir jub samajh aa'ee
niklay woh sub khuda hum jaisay insaaN
hay jaari ab bhi
ik khudaOn kay khuda ki talaash
dekh li hay oos ki
humnay ik dilfaraib muskurahat
jub mil gaee woh
tO unqareeb woh bhi mil ja'e ga
0 Comments:
Post a Comment
<< Home