pujariON kay des maiN : b'naz'r e dargah e jabRa shareef
seedha saadha aadmi tha woh kabhi
seedha seedha gaya woh fauj maiN
aur bus ittefaqan hee ik din
bun gaya woh raja
pujariyouN kay oos daise ka
bhook, iflaas, la'chaari
ub ko maiN chaRRha dooN ga
halali saleeb per, cheekha woh
bay aĆmali ki tareek ghaarouN say
bahar laaouN ga aap sub kou
manbar e tank say cheekh cheekh ker
kiyay waa'day oos nay logouN say
bila kisi tafreek e dost o dushman
aimaal o nayyat her tairhwaiN shaksh ko
sulata gaya woh zair e zameeN
aur hotay hotay ik din
woh khud bana tairhwaaN aadmi
seedah saadah baichara woh
seedha seedha gaya woh fauj maiN
aur bus ittefaqan hee ik din
bun gaya woh raja
pujariyouN kay oos daise ka
bhook, iflaas, la'chaari
ub ko maiN chaRRha dooN ga
halali saleeb per, cheekha woh
bay aĆmali ki tareek ghaarouN say
bahar laaouN ga aap sub kou
manbar e tank say cheekh cheekh ker
kiyay waa'day oos nay logouN say
bila kisi tafreek e dost o dushman
aimaal o nayyat her tairhwaiN shaksh ko
sulata gaya woh zair e zameeN
aur hotay hotay ik din
woh khud bana tairhwaaN aadmi
seedah saadah baichara woh
0 Comments:
Post a Comment
<< Home