at a CAS* meet
from a former ward now a volunteer
oos say gila nahiN
maaN hay na baap mera
seekha hay jo kuch maiN nay
zamanay say seekha
kabhi laRRkhaRai hooN
kabhi bachch ga'ee maiN
jis maqaam per hooN aaj
apni kaavishOn say
zoar e bazoo say hooN
maaN hay na baap mera
apna hee ehsaan hay
aur haaN Khuda gar hay
tO shayad Oos ka bhee
paRhna hay baRhna hay
aur aagay jana hay
is safar maiN kabhi
jeetooN gi, harooN gi
paooN gi, khOooN gi
laikin aik bat hogi
mustaqbil khood hee maiN
apna banaouNgi
ik khalish khalti hay
ghum ka gila nahiN
khushiouN main maaN baap ki
kabhi kabhi shiddat
say kami lagti hay
*Children's Aid Society
oos say gila nahiN
maaN hay na baap mera
seekha hay jo kuch maiN nay
zamanay say seekha
kabhi laRRkhaRai hooN
kabhi bachch ga'ee maiN
jis maqaam per hooN aaj
apni kaavishOn say
zoar e bazoo say hooN
maaN hay na baap mera
apna hee ehsaan hay
aur haaN Khuda gar hay
tO shayad Oos ka bhee
paRhna hay baRhna hay
aur aagay jana hay
is safar maiN kabhi
jeetooN gi, harooN gi
paooN gi, khOooN gi
laikin aik bat hogi
mustaqbil khood hee maiN
apna banaouNgi
ik khalish khalti hay
ghum ka gila nahiN
khushiouN main maaN baap ki
kabhi kabhi shiddat
say kami lagti hay
*Children's Aid Society
0 Comments:
Post a Comment
<< Home