faraar
matlaashi nazraiN
dar say jo takraiN
baar baar
dar o zanjeer zang aalood
magar yeh matlaashi nazraiN
liyay rozan kay paar
aazaad fizaouN ki umang
zarrat e rozan pe sawar
justujoo e azadi maiN
haiN koshaaN sada
poshida hay in maiN
ik oomang e sheh'r e arzoo
kay alfaaz, rooh o jis'm
qaid e shish jehat maiN
sisakhtay na hoN jahaaN
nazraiN parvaaz kunaaN
yeh jaantay hu'aye bhee
faraar e aseeri e haal
nahiN
ma'siway e faraib e tasawwur
dar say jo takraiN
baar baar
dar o zanjeer zang aalood
magar yeh matlaashi nazraiN
liyay rozan kay paar
aazaad fizaouN ki umang
zarrat e rozan pe sawar
justujoo e azadi maiN
haiN koshaaN sada
poshida hay in maiN
ik oomang e sheh'r e arzoo
kay alfaaz, rooh o jis'm
qaid e shish jehat maiN
sisakhtay na hoN jahaaN
nazraiN parvaaz kunaaN
yeh jaantay hu'aye bhee
faraar e aseeri e haal
nahiN
ma'siway e faraib e tasawwur
0 Comments:
Post a Comment
<< Home