begum ashfaq munir ki berhami
begum ashfaq munir ki berhami
8.00 pm
berhami
aabshaar e niagra per jhilmilati roshniouN ki maanind
begum ashfaq munir kay shaf'faaf chehray per
chanakti rahi aur janab ashfaq munir
apni aaram-daah kursi maiN dhanstay rahay
saat e waqfa e ishtihaar
dauraan e waqfa
janab ki nighahaiN
kamray ka tawaf kerti haiN
kaunay maiN rakha pouda
deewar per taj mahal
adh bhari khaakdaan
zair e paa baasi khabraiN
aur paas rakhi aah bharti chai ki piyali
aur haaN, begum bhee
jo ishtihar shru hotay hee
tv guide ootha ker
ishtihar kay khatam hona tuk
qur'an ki tarah her laf'z paRtheeN
--hijjay aur ta'laf'fooz d'rust
--ma'anay aur mafhoom na aashna
ma'mool
kuch bees jama dus saal hu'aye haiN
inka wohi ma'mool e roz-murrah
pir-juma gardish e nau-paanch
oothay
naha'aye
naashta kiya
bag sanbhali
aur rukhsat hotay hu'aye
ooper walay say a'maan mangi
kabhi zubani, kabi isharatan
aur dafter say do baar
gyara aur teen bajay
begum say phoni istifsaar....
aur wapsi per
hasb e zaoorat, ya hasb e wa'ada
doodh, anday, laundry
lay ker ghar pohaNchna
khamooshi say khana khana
shaam ka akhbar paRhna
aur ik shaan e bay-niazi say
begum say poochna
aap theek tou haiN?'
din kaisay guzra?
koi khabar?
8:15 pm
aur phir tv kay samnay
apni pasandida
aramdah kursi per barjaman
laikin aaj begum ashfaq munir
pichlay dinouN, saalouN say
kuch ziyadah hee berhum
nazar aa rahee theeN
waqfay aatay rahay
aur janab ashfaq munir
joos'tu'joo e asbaab e berhumi e begum
maiN rahay ghota-zun
fik'r oonhouN nay
kisi oonchay minar say
nachti huee roshniouN ki maa'nind
idhar oodhar doRRai
laikin afsos, begin ki munjamid berhami ka raaz
koi farari qaidi tou tha nahiN
jo oonki fikri roshnioun ki zudd maiN aajata
10:00 pm
tv prograam kaht'm hu'a
janab aur begum donoN nay daant maNjhay
aur shub kay khair say guzarnay ki
thaki thaki khaahishouN ka
dabay dabay andaaz maiN kiya izhar
aur peeth say peeth mila ker
lait ga'aye.
8.00 pm
berhami
aabshaar e niagra per jhilmilati roshniouN ki maanind
begum ashfaq munir kay shaf'faaf chehray per
chanakti rahi aur janab ashfaq munir
apni aaram-daah kursi maiN dhanstay rahay
saat e waqfa e ishtihaar
dauraan e waqfa
janab ki nighahaiN
kamray ka tawaf kerti haiN
kaunay maiN rakha pouda
deewar per taj mahal
adh bhari khaakdaan
zair e paa baasi khabraiN
aur paas rakhi aah bharti chai ki piyali
aur haaN, begum bhee
jo ishtihar shru hotay hee
tv guide ootha ker
ishtihar kay khatam hona tuk
qur'an ki tarah her laf'z paRtheeN
--hijjay aur ta'laf'fooz d'rust
--ma'anay aur mafhoom na aashna
ma'mool
kuch bees jama dus saal hu'aye haiN
inka wohi ma'mool e roz-murrah
pir-juma gardish e nau-paanch
oothay
naha'aye
naashta kiya
bag sanbhali
aur rukhsat hotay hu'aye
ooper walay say a'maan mangi
kabhi zubani, kabi isharatan
aur dafter say do baar
gyara aur teen bajay
begum say phoni istifsaar....
aur wapsi per
hasb e zaoorat, ya hasb e wa'ada
doodh, anday, laundry
lay ker ghar pohaNchna
khamooshi say khana khana
shaam ka akhbar paRhna
aur ik shaan e bay-niazi say
begum say poochna
aap theek tou haiN?'
din kaisay guzra?
koi khabar?
8:15 pm
aur phir tv kay samnay
apni pasandida
aramdah kursi per barjaman
laikin aaj begum ashfaq munir
pichlay dinouN, saalouN say
kuch ziyadah hee berhum
nazar aa rahee theeN
waqfay aatay rahay
aur janab ashfaq munir
joos'tu'joo e asbaab e berhumi e begum
maiN rahay ghota-zun
fik'r oonhouN nay
kisi oonchay minar say
nachti huee roshniouN ki maa'nind
idhar oodhar doRRai
laikin afsos, begin ki munjamid berhami ka raaz
koi farari qaidi tou tha nahiN
jo oonki fikri roshnioun ki zudd maiN aajata
10:00 pm
tv prograam kaht'm hu'a
janab aur begum donoN nay daant maNjhay
aur shub kay khair say guzarnay ki
thaki thaki khaahishouN ka
dabay dabay andaaz maiN kiya izhar
aur peeth say peeth mila ker
lait ga'aye.
0 Comments:
Post a Comment
<< Home