baithak

↑ Grab this Headline Animator

Sunday, October 01, 2006

souchta hooN aksar

souchta hooN aksar gar jal bhee ga'aye
kagaz per raq'm yeh chund laf'z tou kya
qayamat aa'ayegi

sadiyouN say humnay ki hay bay wa'fai
dil saada, dimagh ish'q say mubar'ra
jub inkisari ka paas na raha tou
raakh aalooda laf'z per ashkbari kaisi?

jub bhula dia ghairat ko tou na
banay insaaN, na aadmi na haiwaaN
phir yeh fasoord'gi aur malaal kaisa?

1 Comments:

Anonymous Anonymous said...

Well composed..
Hurriedly recalling Ghalib:
Jala hai jism tau phir dil bhee jal gaya hoga
kuradtay ho jo ab raakh, justajoo kiya hai

Apologies in advance if this was [mis] quoted...

October 01, 2006 12:33 PM  

Post a Comment

<< Home