baithak

↑ Grab this Headline Animator

Monday, October 17, 2005

Sama'at / khamoshi /bay hissi?

parday kaan kay sun'n kardainay wala shor e khamoshi
aflas maiN thar'tharratay kapkiyuN ki shOr o fughaaN
shaakhON say juda zameen per sajda kartay pattON ki shikayat
dabi aahON kay pahaRON ko raizah raizah karnay wali siski
chatanON say jan'm der jan'm do'or rait kay zarrat ka shikwa
saat samandar taire ker mauj ki zar'raat e saahil say gila
shabistaanON maiN jimsON ki bay hunghum o bay hangham raq's
teesri duniya kay labON ka, zeh'nON ka raag e karbala
azizOn kay bichaRnay per num aankON ka naghma e bay-busi
muskurahat e tif'l labOn per khailnay say pehlay jo hojati hay go'om

kis dil per hoga a'sar in bay-awaaz naghmON ka
nahiN sunay ga, nahiN sunay ga in geetON ka ehtijaaj koi
yeh jaagti, sisakti, khaki faryaadaiN dhulay kaf'n maiN saji
hum aa'ghOsh dharti kay seenay say hoNgi youN chupkay chupkay
khaak khaak hogi, khaak khaak-aashnaa hogi
in bay-aawaaz dastanON kay sunnay ki sak't
naa'paid hay
nahiN sunay ga, koi ab nahiN sunay ga....

0 Comments:

Post a Comment

<< Home