baithak

↑ Grab this Headline Animator

Tuesday, August 23, 2005

eid thoughts

faíqay kay din bhee guzar gaíaye
eid ki khushiaN bee manaíleeN
riwayatouN kay, lawazmaat kay saath
aaj say phir chal niklay hum
oosi purani dagar per
lijiíaye qissa youN huía tamam
phir ik saal kay liíaye

laikin ik lamhay ko bhee
kya soucha hum nay kay
ghareeb woh jo bhooki thee
aamad e ramazaan say pehlay
hay aaj bhee woh bhooki hee
woh ghareeb jis kay paas
kapRay thay na sir chupanay ki jagah
woh aaj bhee mauj e hawadis
ki kashímakash kay bhanwar maiN
thaali ka baigun huía hay

ensconced in fire-lit rooms
glowing in warm feelings
we tire not
of thanking Him

kaash oonki eid bhee
kabhi mubarak ho jaíaye
kaash woh bheeÖ

0 Comments:

Post a Comment

<< Home