baithak

↑ Grab this Headline Animator

Monday, August 22, 2005

nookta

for z'ehr and uzi

nooktaa
aaghaaz bhi anjaam bhi
markaz bhi markooz bhi

teri kiya taareef karouN
aye meray nooktaa sukh'n
nooktaa shinawar

Kay hay yehi nooktaa
zindagi ki pehli
aur maut ki aakhri
moos'ku'rahat
have a feeling
this has been said before


aur nooktouN kay is melay maiN
nadaaN dilouN kaa
pehli baar aankh milaana
kay hay woh bhi ik nooktaa

puír num aankhouN say
alwidah, bye, sayonara kehna
bay saakhtígi say
har baat par mus'kurana

mauj e gardish e nau paanch
paicho o taab e kash míkash e azli
maíbain e insaan

milna, milana
kareeb aana
door jaana

nooktouN hi ka hay yeh kamaal
--nookta, ik khafeef daiíraa
daiíraa kay jiski hay
na ibtida na ikhtitam
aur nokktouN ki in amwaaj maiN
hum aur tum behtay rahaiN haiN
behtay rahaiN gay

0 Comments:

Post a Comment

<< Home