baithak

↑ Grab this Headline Animator

Sunday, August 28, 2005

bagh maiN hungami ijlas

sobia:

Baagh Main Hungami Ijlaas

aao bachcho bagh chalaiN, baagh chalian
kuch ghoomaiN, ga'aiN aur tafrih karaiN
arey wahaN dekho woh shore kaisa?
bhindi bhee hay, baigun bhee, pyaz bhee
sabziyouN ka mushaira ho goya
sub ko yehi rog thaa kay yeh aadmi
bhook ko apni mitanay kay lyay
ain aalam e shabab maiN oonki jaan
aag say, kabhi oobaltay paani say
aur kabhi kachcha hee khaa jatay haiN
yeh mard-aurat zaat dil walay kahaaN
gar dil hota to hassaaas na hotay?
srif pait ki bhook hay meh'wur inka
jaaNwar kha'aye aur sabzi phul kha'aye
kabhi tou aadmi aadmi ko kha'aye!

sabziyouN ki yeh katha'aiN sunn kar
meh e hairaan raha buhat daire tuk
laikin jub ghalba bhook ka hu'a
kabaab kay saath pyaz bhee kha gaya!

0 Comments:

Post a Comment

<< Home