aik aur aitraaf
aur maiN, magan, khoosh
darmiyana ravi ka pairoo
kabhi kabhi
gardish-e-aghyaar kay bhaNwur maiN
najaanay kaisay phans jata hooN
aur tawaazun youN kho kar
taízubízoob kay samandar maiN
hojata hooN ghota-zun
andhera aur khamoshee her sooí
koi shehh aisi nahin paata
jis say rishtaa ho qaayum
(a'jub mooshkil hay
aagay ja raha hooN ya peechay?)
simít ka taíayyun
ankaa hay
aur isi sailaab-e-bay busee maiN
chund lamhouN, chund sadiyouN
behta chala jata hooN maiN
tajruba, ilím
kooch kaam nahiN aata
baRi maflooj koon
hoti hay yeh gardish
chund saíatouN kay liya
ji chahta hey mera
sur-o-deewar aik kardouN!
darmiyana ravi ka pairoo
kabhi kabhi
gardish-e-aghyaar kay bhaNwur maiN
najaanay kaisay phans jata hooN
aur tawaazun youN kho kar
taízubízoob kay samandar maiN
hojata hooN ghota-zun
andhera aur khamoshee her sooí
koi shehh aisi nahin paata
jis say rishtaa ho qaayum
(a'jub mooshkil hay
aagay ja raha hooN ya peechay?)
simít ka taíayyun
ankaa hay
aur isi sailaab-e-bay busee maiN
chund lamhouN, chund sadiyouN
behta chala jata hooN maiN
tajruba, ilím
kooch kaam nahiN aata
baRi maflooj koon
hoti hay yeh gardish
chund saíatouN kay liya
ji chahta hey mera
sur-o-deewar aik kardouN!
0 Comments:
Post a Comment
<< Home