baithak

↑ Grab this Headline Animator

Wednesday, December 02, 2015

jeewan ki pug'dundi - version ii

chaltay chaltay
jeewan ki pug'dundi per
d'rakht jhaRRi banay
jhaRRi khaab 
subzaa sehra aur
sehra hu'a saraab
sa'aye bhi 
aahista aahista 
ghayab ho ga'aye
laikin manzil ka nishaan
ankaa hee raha dost

kya yeh wohi sirat e moostaqeem thi
ya rawani e mauj e shabab maiN
kisi aur raah per
chal niklay thay hum

jalta hay, damakta hay
ummeed ka diya
kehta hay
joos'tu'joo ka silah
milay ga tujhay
chalna shar't hay
chaltay raho 
bus chaltay raho

0 Comments:

Post a Comment

<< Home