sunta koee nahiN hay - reworked
baataiN sub kertay haiN
sunta koee nahiN hay
beta/murd mera beemar hay
paisay nahiN haiN dawa kay
through the tinted windows
sunta koee nahiN hay
beta/murd mera beemar hay
paisay nahiN haiN dawa kay
through the tinted windows
i looked away in the haze
kaam nahiN, paisa nahiN
paani nahiN, bijli nahiN
qanoon nahiN, ummeed nahiN
yeh sub baataiN sunta hooN
zaroor -majboori jo thehri
kaam nahiN, paisa nahiN
paani nahiN, bijli nahiN
qanoon nahiN, ummeed nahiN
yeh sub baataiN sunta hooN
zaroor -majboori jo thehri
laikin maiN ik musafir hooN
des des kay dukh paRhta hooN
dekhta hooN aur soon laita hooN
aur safar jari rakhta hooN
des des kay dukh paRhta hooN
dekhta hooN aur soon laita hooN
aur safar jari rakhta hooN
shayad
bayhissy kay bojh talay
maiN bhee auroN ki maanind
maiN bhee auroN ki maanind
bay hiss hooN... aap bhee
aur aapka, m'ra khuda bhee
shayad
shayad
0 Comments:
Post a Comment
<< Home