baithak

↑ Grab this Headline Animator

Wednesday, November 16, 2005

farmatay haiN

farmatay hain InsaaN ji
eh'l e sukhan ki baataiN
zindagi maut aur ranjish
souz, saaz paich o taab rumi
aalimouN falsafiouN
kay shikway shikayataiN
kya laina daina humaiN?

humaiN to sunao kuch
ghubaar e dil ki baataiN
woh bay a'waaz aah, woh dar'd
woh baar baar dar ko tak'na
woh intizar, woh bay chaini
her guzarnay walay ko
oon ka qaasid samajhna
aap is dayar e ghair maiN
woh pardes maiN meh'v e tann
dono tuk'tuki baNdhay
phone ko, screen ko, dur ko
aisay hee bay chaini say
ghoortay daikhtay hoNgay?
kuch to bataiN humaiN
kuch to sunaiN humaiN

0 Comments:

Post a Comment

<< Home