excerpts from intezar hussain
two excerpt from Intezar Hussain’s Nazariyay Say Aagay
Sang e Meel Publications, Lahore
ISBN 969-35-1594-3
Firaq Gorakhpuri Ki Ikhtilafi Aawaz
'Mazhab o millat o siyasat aur samajiyaat kay tamam eh'm pehloo'ouN say kaheeN zyada qeemti meray lyay ghar aur ghareloo zindagi say muta'aliq wajdani kainaat ki ehmiyat rahi hay. DevRhi, aangan, choola chukki, khanay peenay kay bartan, rozaana istaimal ki doosri cheezaiN, ghar maiN bachchouN, aurtON aur deegar afraad ki ba'ahmi jazbati yakjehti, sad'haa rasoom, ghar kay raat din, gharaz yay kay ghar aur gharayloo zindagi say mutaalliq choti say choti joozyaat ki paakeezgi aur oon say hum a'hangi ka ehsaas. Ee'say maiN qadeem Hindustani saqaft ki buhat baRi deen samajhta hooN. Jahaan tuk is besh bahaa daulat ka ta'allooq hay Urdu sha'eri maiN sannataa nazar aata hay, kaheeN kaheeN is ki kuch jhalkiaN Anis kay marsiouN maiN mil jaati haiN. Kabhi kabhi Nazeeer Akberabadi kay yahaaN ghar baar ki tasveer kushi hui hay. Laikin aik tO is qis'm ki sha'eri yaa ghar ka mauzoo Urdu sha'eri maiN buhat kum aaya hay aur agar aaya hay tO oos maiN woh ma'soomiyat woh thaith aur mutarannoom insaniyat, woh rooh ki ghehra'eeyouN maiN uter janay wali baat nahin milti jis ki nishandahi shru hee say Hindustan ka a'dub aur doosray fanoon e lateefa kartay rahay haiN.'
...and later
'Kaash Ghalib nay apnay Ajmi has'b nas'b per fakh'r thoRa kum kya hota. Arey is say achchay to Allama Iqbal rahay. Oon ka takhayyul baishak arb o ajum ki fizaaouN maiN parwaaz karta raha magar oonhaiN apni a'sal yaad rahi:
MaiN a'sal ka khaas Somnati
Aabaa m'ray Lati o Manati
Tu Sayyaid e Hashmi ki aulaad
Meri kaf e khaak b'rahmin zaad

0 Comments:
Post a Comment
<< Home