jub likhna hee thehra
kahaani fasana kahaN
yeh fiqít kaavish hay
ghubar e dil maiN basay
khaak aalooda
harf kay motiouN say
ik khalish e dil ko
alfaaz ki mauj maiN
bund karnay
raqím karnay ki
khaak ki haqeeqat say
kaun aashna naahiN
daríj hay goya
oos kay muqaddar maiN
sadyouN der sadyouN
ooRna, bikharna, ooRaana
barasna, chahníaa, phaaNkna
aur aakhir kaar
paani paani hona
khaak khaak hona
yeh fiqít kaavish hay
ghubar e dil maiN basay
khaak aalooda
harf kay motiouN say
ik khalish e dil ko
alfaaz ki mauj maiN
bund karnay
raqím karnay ki
khaak ki haqeeqat say
kaun aashna naahiN
daríj hay goya
oos kay muqaddar maiN
sadyouN der sadyouN
ooRna, bikharna, ooRaana
barasna, chahníaa, phaaNkna
aur aakhir kaar
paani paani hona
khaak khaak hona
0 Comments:
Post a Comment
<< Home