aik do teen
shaikh o brahmin, rabbi ya padre
baat daire ki hO, kaabay kaleesa ki
bOl inkay sitaraOn ko choothay haiN
fay'el haiN pastiON maiN ghota-zun
rahaiN mukhtalif laikin manzil aik
aur sub logON per havi teesri aankh
dO ankhON say sub mullah o pandit
aik hee manzil, aik such, aik haqeeqat
ki joostujoo maiN kOshaaN haiN sad'a
bhool jatay haiN apni teesri aankh ko
phir yeh kaisa ajooba hay Ya'rub
kyuN yeh teray meray darmiaN
nafratON ki khaleej phaliatay haiN
baat daire ki hO, kaabay kaleesa ki
bOl inkay sitaraOn ko choothay haiN
fay'el haiN pastiON maiN ghota-zun
rahaiN mukhtalif laikin manzil aik
aur sub logON per havi teesri aankh
dO ankhON say sub mullah o pandit
aik hee manzil, aik such, aik haqeeqat
ki joostujoo maiN kOshaaN haiN sad'a
bhool jatay haiN apni teesri aankh ko
phir yeh kaisa ajooba hay Ya'rub
kyuN yeh teray meray darmiaN
nafratON ki khaleej phaliatay haiN
0 Comments:
Post a Comment
<< Home