kaha oos nay
kaha oos nay choRho
kya rakha hay in baatON maiN
kyun kureedtay rehtay hO zakhm-e-dil kO
kya rakha hay in baatON maiN
kyun kureedtay rehtay hO zakhm-e-dil kO
kaha humnay
kabhi khaul say bahar tou niklo
kabhi kisi aur nazar say bhee
kisi ko dekho
kisi ko samjho
kaheeN aisa na hO
kay aap youN hee ghar'q rahaiN
kabhi khaul say bahar tou niklo
kabhi kisi aur nazar say bhee
kisi ko dekho
kisi ko samjho
kaheeN aisa na hO
kay aap youN hee ghar'q rahaiN
kisi guzri bahar kay intezaar maiN aur
kaheen woh nazrouN
kay samnay say guzar ja'aye
kaheen woh moq'qa youN hee raigaaaN ja'aye
khizaan hay aaj tO bahaar doo'r nahiN
kabhi tO muskuradO
kay din bahar kay doo'r nahiN
kaheen woh nazrouN
kay samnay say guzar ja'aye
kaheen woh moq'qa youN hee raigaaaN ja'aye
khizaan hay aaj tO bahaar doo'r nahiN
kabhi tO muskuradO
0 Comments:
Post a Comment
<< Home