baat sub kehtay haiN
sunta koee nahiN hay
beta/murd m'ra beemar hay
dawa kay paisay nahiN haiN babumaaf karo, Allah shifa dekha
kaam nahiN, paisa nahiN
paani nahiN, bijli nahiN
qanoon nahiN, ummeed nahiNyeh sub baataiN sunta hooN
......................................zaroor
(majboori hay)
laikin maiN tou ik musafir hooN
des des kay dukh
srif soon laita hooN
aur aagay chala jata hooN
may bhee bayhis hooN
.................................aap bhee
aur aapka, m'ra khuda bhee
..........................shayad